Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

FunLanD - Topics
Create Your Own App Store

* FunLanD > Topics


Subject: URDU GHAZALS
Replies: 313 Views: 674
6-<< 2-< 1-> 7->>

hamza_g 18.08.12 - 06:19am
Chahaton ke moasum main raahatain bhe hoti hain
Dard bhe tau hota hay shikayetain bhe hoti hain
Payar ke masaafat main oonchay neechay ruston per
Bay waja nazar ohjhal rukawatainbhe hoti hain
Hijer k andhairay bhe zindagi mainaatay hain
Wasl k ujaalon say adaawatain bhe hoti hain
Dil main jub bhe chubh jaaien khaar zindagani k
Dermiyan dilon k dau wazaahatainbhe hoti hain
Ashk bhe tau girtay hain laazawalrishton main
Dard dainay wali koch rafaaqatainbhe hoti hain
Payar main abhi onn k inteha nehiaaie
Ishq main zaroorat ke milaawatainbhe hoti hain
Ruqs jab bhe karti hay chaandni andhairon main
Rahberon ke aankhon main sharaartain bhe hoti hain
Bay hijab karti hay, shaukat nazer zamanay ke
Bay hisaab loogon ke inaayetain bhe hoti hain
*

100cute 18.08.12 - 06:19am
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
Tum Bhi Maano Ek Baat MeriIRFAN
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan
*

hamza_g 18.08.12 - 06:19am
Mohabat bhari daastan chahta hoon,
Main tum sa koi meherban chahtahoan,
Na ho jis mein koi bhi dushman kisika,
Mohabbat ka aesa jahaan chahta hoon,
Wohi qehqahey, jhamgatey dostonke,
Mein phir wohi shokhiyan chahta hoon,
Mohabbat ki chashm-e-karam karde mujh per,
Karri dhoop mein saayebaan chahta hoon,
Wohi raat joban pe aayi huyi,
Sitaron ki woh kehkashan chahta hoon,
Bari der tak sahilon pe tehelna,
Gayi rut ka pehle samaan chahta hoon,
*

hamza_g 18.08.12 - 06:20am
Tamam sheher ko heraan karne wala hoon,
Main apne hone ka aelaan karne wala hoon,
Kahin gira ke teri yaad ka yeh kuh-e-giraan,
Safar ko aur bhi asaan karne wala hoon,
Yeh sisilsa meri ankhon pe hi nahinmokoof,
Mein tera sheher bhi viraan karnewala hoon,
Abhi woh morr nahin aya is kahanimein,
Jab mein sab ko pareshaan karnewala hoon,
Yeh kis ne raat mujhe neend se jaga ke kaha,
Chiraag-e-khawab tujhe daan karne wala hoon,
Tamaam umar kahan hai woh merikismat mein,
Bass aik raat ka mehmaan karne wala hoon..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:21am
Sheher Mein Teri Paziraai Na Honay Dongi
TU Mera Hai Tujhay Harjaai Na Honay Dongi
Chup Rahon Gi Jo Kahay Ga Koi Tujh Ko Majnoon
Is Sy Bardh Kar Teri Ruswaai Na Honay Dongi
Yaad Aaon Gi Tujhay Achhay DinonKi Soorat
Main Mukammal Teri Tanhaai Na Honay Dongi
Janti Hon Ke Mera Hona Hay Us Say Mashroot
Apnay Dushman Ki Main Paspaai NaHonay Dongi
Achhay Lagtay Hain Mujh Ko Parinday Lekin
Us Ko Unka Bhi Tamannaai Na Honay Dongi..!!
*

100cute 18.08.12 - 06:21am
kal sahb pocha CHAND say...
Suno....
Chandni in raaton main...
kho k kaheen wo baaton main,
kia naam mera wo leti hai...?
.
jab tujh ko takti hogy wo...
kuch baaten krti gogi wo...
kia pegham tuje wo deti hai..?
.
kuch der yun khamoshi thy
phir chand ne aik baat kahi...
wo khoiy khoiy rehti hai
hansti hai na hi roti hai...
sochon me gum hoti hai...
mujh se kuch na kehti hai
naam tear na leti hai
na pegham bhi koy deti hai..
.
ye sun k dil ko thaam liya
mene ro k tera naam liya
zehar ka ik jaam piya.....
aur chand ko ye pegham dia...
me yaad usay boht karta hon
itna usay tum keh dena
....phir....
.
naam mera wo loti hai....
ya..
pegham koy wo deti hai...!!!
*

hamza_g 18.08.12 - 06:21am
Bicharte waqt in ankhon ka bhar jana zaruri tha,
Tumhare bin mera chup chaap mar jana zaruri tha,
Main hans kar jhel leta dil pe saare waar qismat ke,
Muje bakhabar kar dete agar jana zaruri tha,
Meri aankhon me apne aks ko tum dekh na paye,
So mera beniyazi se guzar jana zaruri tha,
Qabal iske ke dono badgumani mein ulajh jate,
Mere humdum mera tujhse bichar jana zaruri tha,
Main jeewan k safar me hans k sab kuch seh gya lekin,
Jo tum bichre tu phir mera bikharjana zaruri tha. *

100cute 18.08.12 - 06:21am
BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI
Dill mein tere bas dagha hai
tuje kia ahsaas hai kisi ka
dil to to apna hi jala hai
BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI
teri jafa se anjaan tha me
ki thi muhabat nadan tha me
sirf dard hi tum ne diya hai
BEQASOOR NAHI TU BEWAFA HAI...
*

100cute 18.08.12 - 06:22am
O Jana Chali Aao
bin tere bas andhera hai
ik tu hi mera sawaira hai
ghamon me mera basera hai
tanhai ne mujko ghera hai
O Jana Chali Aao
Chali Aao kay...
dunia saari hansti hai
teri yaaden dasti hein
deed ko aankhen tarsti heinbin saawan ye barsti hein
O Jana Chali Aao Chali Aao
kion zid ye tone thaani hai
ye wakat ik behta paani hai
ye dunia aakhir faani hai
aur mout bi ik din aani hai
O JANA CHALI AAO
CHALI AAO O JANA...
*

hamza_g 18.08.12 - 06:24am
Zahir kisi surat bhi kahin naam nakarna,
Hain log bohat khaas humain aam na karna,
Janey ki ijazat to diye dete hain lekin,
Raste main kahin aate huye shaam na karna,
Kuch roz se yeh haal hai chahat mein tumhari,
Bekaar parre rehna koi kaam na karna,
Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan,
Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna,
Is shart pe hai tark-e-taluq ki ijazat,
Badnaam zamane mein mera naamna karna,
Hum log palat aaney ki haatir nahin jate,
Wa sham ke baad apne dar-o-baam na karna,
Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad,
Saaqi se kaho samne ab jaaam nakarna.. *

hamza_g 18.08.12 - 06:24am
Kisi Mehwish Se Ulfat Ho Gai Kiya?
Kahin, Khud Se Adaawat Ho Gai Kiya?
Tere Haathon Mein Parcham Ishq Ka Hai
Zamaane Se Baghawat Ho Gai Kiya?
Bohot Shereen Sukhan, Shereen Dahen Ho
Muhabbat Ek Aadat Ho Gai Kiya?
Sajaaye Aankh Mein Furqat KhareHo
Milan Ki Aas Rukhsat Ho Gai Kiya?
Dil-e-Nadaan Ki Dharkan Barh Gai Hai
Judaai Apni Qismat Ho Gai Kiya?
Kaf-e-Afsos Kaisaa Zain Sahib
Lagi Dil Ki, Qayamat Ho Gai Kiya.
*

hamza_g 18.08.12 - 06:25am
Dil cheer ke dikhla dain ik naam tumhara hay
Hum ab bhe jo zinda hain ehsaan tumhara hay
Jab chhup chhup rotay hain niendon ko tarastay hain
Aisay main humain teri yaadon ka sahara hay
Kehtay hain mohabbat main jaan daitay hain dil walay
Iss rah saiy guzernay ka armaan humara hay
Ab beech sumandar main aaiy haintau kiya sochain
Kis simt koe kishti kis simt kinara hay
Koch phool k patton main kaantaybhe tau hotay hain
Phir kiya hay ghalat jeewan hum nay jo guzara hay
Manzil he nehi paatay jo chuntay hain rah-e-ishq
Iss payar ke baazi main ik roz khasara hay
Ik rog hay tanhaie ik rog mohabbat hay
Donon ke qarabat nay ik shakhs ko maara hay
Hum dard k maron ke pooch na khaber shaukat
Din raat tarapnay main bas apna guzara hay *

hamza_g 18.08.12 - 06:27am
Teray Hijr Mein Aur Mujhy Kya Kerna Hai ???
Teray Naam Kitaabein Likhta Rehta Hun..
Teri Zulf K Saaye Dheyaan Mein Rehtay Hain
Main Subhon Ko Shaamein Likhta Rehta Hun
Apnay Pyaar Ki Phool Mehakti Raahon Mein
Loogon Ko Deewaarein Likhta Rehta Hun
Tujh Say Mil Ker Saaray Dukh Dohraaon Ga
Hijr Ki Saari Baatein Likhta Rehta Hun
Sokhay Phool, Kitaabein, Zakham Judai K
Teri Sub Soghaatein Likhta Rehta Hun
Us Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hain
Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hun.
*

hamza_g 18.08.12 - 06:28am
Bichar gaya hai jo ab us ka malaalkya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,
Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,
Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,
Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kyakarna..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:28am
Jheel sa mujh ko gehra laga tha,
Jab woh pehli baar mila tha,
Har rasta, khushbu rusta tha,
Woh mere hamraah chala tha,
Ankhon mein kajal phela tha,
Chahat ka khamosh sila tha,
Hum dono mein rang usi ka,
Raste mein jo phool khila tha,
Kese bhula doon us ko Arshad,
Woh tou mera aayina tha..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:29am
Tumhare barey mein hum ne jtne bhi khawab dekhe,
Yeh khawab kab they dar-haqeeqat azaab dekhe,
Tumhare chehere ki chandni pe nazar ho jis ki,
Woh kese mumkin hai jalwaa mahtaab dekhe,
Yeh kher-o-shar ki tameez apni jagha hai lekin,
Jinon mein kis ne gunah dekhe sawaab dekhe,
Hamare honton pe peyas ab tak sajji huyi hai,
Tumhari chahat mein hum ne kya kya saraab dekhe,
Mere chaman me hai zard mausamki hukmrani,
Zamana guzra hai koi taaza gulaab dekhe,
Teri nigahon ne mast-o-bekhud kiya hai warna,
Sharab dekhi na hum ne jaam-e-sharab dekhe,
Qaraar ik pal nahi hai us ke bagher Arshad,
Judai mein uski hum ne kitne azaab dekhe..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:29am
Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loonga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:33am
Haatir Ya Lahaaz Say Maan To Gaya
Jhooti Qasam Say Aap Ka Emaan To Gaya
Dil Lay Kay Muft Kahtay Hain KuchKaam Ka Naheen
Ulti Shikayatain Huieen , Ahsaan To Gaya
Dekha Hai Batkada Mainn Jo Aay Sheikh! Kuch Na Kuch
Emaan Ki Touba Hai Emaan To Gaya
Afshaaye Raaz Ishq Main Go Zilatain Hoeen
Lekin Usay Jata To Dia, Jaan To Gaya
Hoosh O Hawaas O Taab O Tawaaa-n , Daagh Ja Chukay
Ab Hum Bhi Janay Walay Hain Samaan To Gaya
*

hamza_g 18.08.12 - 06:34am
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya
Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya
Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya
Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya
*

hamza_g 18.08.12 - 06:34am
Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain
Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain
Paani Ko Bana Ke Roshnaai
SholoN Ka Jawaab Likh Rahay Hain
Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par
Mausam Ka Aazaab Likh Rahay Hain
Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz
Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain
Parhtay Hain Hum Tou Chehray
Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain
*

hamza_g 18.08.12 - 06:35am
Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi .
Jaanay Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi..
Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi..
Subah Hotay Hee Mar Gayi Hogi
Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se.
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi
Ik Darya Ke Rukh Badaltay Hee.
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi
Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi..
Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein.
Oski Soorat Nikhar Gayi Hogi..
Ya Taluq Na Nibh Saka Os se.
Ya TAbiyat Hee Bhar Gayi Hogi..!
*

hamza_g 18.08.12 - 06:36am
Wo Chahto Ki Esi Misal Deta Hai,
Awargi Ko Apnayat Mai Dhal Deta Hai,
Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai,
Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalam Deta Hai,
Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye,
Baray Haseen Tareeqy Se Wo TaalDeta Hai,
Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar NahiKarta,
Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai,
Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se,
Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:36am
Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai
Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai
Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki ThaapPer Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai
Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai
Wohi Tou Zaira Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai
*

hamza_g 18.08.12 - 06:37am
Chehray Parhti Aankhein Likhta Rehta Hun
Mein Bhi Kaisi Baatein Likhta Rehta Hun
Saray Darakhton Jaisay Lagtay Hain
Aur Baahon Ko Shaakhein Likhta Rehta Hun
Tujh Ko Khat Likhnay Ke Tewar Bhool Gaye
Aarhi Tirchi Satrein Likhta Rehta Hun
Teray Hijr Mein Aur Mujhay Kya Karna Hai ?
Teray Naam Kitaabein Likhta Rehta Hun
Tujh Say Mil Kar Saaray Dukh Dohrawon Ga
Hijr Ki Saari Baatein Likhta Rehta Hun
Sukhay Pattay, Phool, Kitaabein, Zakham Judayi Ke
Teri Sub Sogaatein Likhta Rehta Hun
*

hamza_g 18.08.12 - 06:38am
Neend Aankhon Main Musallat NahiHone Deta
Wo Mera Khwaab Mukammal Nahi Hone Deta
Aankh Ke Sheesh-Mehal Se Wo KisiBhi Lamhe
Apni Tasveer Ko Ojhal Nahi Hone Deta
Raabta Bhi Nahi Rakhta Hai Sar-e-Wasl Koi
Or Talluq Bhi Muattal Nahi Hone Deta
Wo Jo Aik Sheher Hai Pani Ke Kinaare
Apne Atraaf Main Dal-Dal Nahi Hone Deta
Dil Tou Kehta Hai Ose Lout Ke Aana Hai Yahan Hee
Ye Dilasa Hee Tou Hai Jo Mujhe Pagal Nahi Hone Deta
*

hamza_g 18.08.12 - 06:38am
Kaun Kehta Hay k Maut Aayi Tou Mar Jaonga ?
Main Tou Dariya Hoon Samandar Mein Utar Jaonga
Tere Pehlu Se Jo Uthoonga Tou Mushkil Yeh Hay
Sirf Ek Shakhs Ko Paonga Jidhar Jaaonga
Ab Tere Shehar Mein Aaonga Musaafir Ki Tarah
Saaya-e-Abr Ki Maanind Guzar Jaonga
Tera Paimaan-e-Wafa Raah Ki Deewar Bana
Warna Soocha Tha Jab Chahonga Mar Jaonga
Chaara SaazooN Se Alag Hay MeraMiyaar k Main
Zakham Khaonga Tou Kuch Aur Sanwar Jaonga
Zindagi Shamma Ki Maanind Jalaata Hoon
Bujh Tou Jaonga Magar Subha Tou Kar Jaonga!
*

hamza_g 18.08.12 - 06:40am
Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Ab Intezaar K Maaron Ka Haal KyaHo Ga,
Teri Nigaah Nay Zalim Kabhi Ye Socha Hai,
Teri Nigaah K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Naqaab Un Ka Ulatna To Chaahta Hoon Magar,
Biqarr Gaye To Nazaaron Ka Haal Kya Ho Ga,
Muqaabla Hai Tere Husn Ka Bahaaron Say,
Naa_Jaanay Aaj Bahaaron Ka HaalKya Ho Ga .
*

hamza_g 18.08.12 - 06:40am
Mohabbat Ka Nagar Abaad Rakhna,
Bilaa Khauf-o-Hatar Abaad Rakhna,
Mohabbat Mein Koi Asaan Nahin,
Wafaa Ki Reh-Guzar Abaaad Rakhna,
Tum Apni Jagti Ankhon Mein Jaana,
Koi Khawab-e-Seher Abaad Rakhna,
Udaasi Keh Rahi Hai Sheher-e-Jaan Ki,
Hamare Baam-O-Dar Abaad Rakhna,
Kisi Ki Yaad Mein Din Raat Yaawar,
Deyaar-e-Chashm-e-Tar Abad Rakhna..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:41am
Hanste huye logon ko rulaya nahin karte,
Hum apna koi zakham dikhaya nahin karta,
Ik bar jisy apni nigahon se gira dain,
Phir us ko kabhi dil mein basaya nahin karte,
Us sakhs se mil kar mujhe ehsas hua hai,
Jo pairr barre hote hain saaya nahin karte,
Rakhte hain unhe hum sadaa seeney se laga kar,
Dukh apna kisi ko bhi sunaya nahin karte,
Yeh khel mohabbat ka hai phir soch lo Arshad,
Kho dete hain yahan sab kuch paaya nahin karte..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:42am
Woh Mujh Ko Mil Gaya Main Ussey Khojta Raha
Uss Mein Hi Ussi Shaks Ko Dhoondta Raha
Dasht-E-Dil Mein Yaadon Ki Baarishein Honey Say
Banjar Zameen Say Bhi Sabza Phoot-ta Raha
Aawaazon Ka Ik Hujoom Aas Paas Tha Magar
Sannata Mairey Wajood Mein SadaBolta Raha
Woh To Bicharr Ke Duniya Ki Bheerr Mein Gum Ho Gaya
Aur Ye Main Hoon Ke Umer Bhar Ussey Sochta Raha
Gar Mil Gaya Kabhi Woh To Poochoon Ga Ye Sawal
Kyun Mohabbat Ikk Bharam Hai JoSada Toot-ta Raha
Dil Mein Basaya Tha Jissey Mainey Woh Dilruba
Ban Ke Rahzan Qadam Qadam Mujhi Ko Loot-ta Raha.!!
*

hamza_g 18.08.12 - 06:43am
Teri Yaad Hai Andhere Mein UjalayKi Tarah
Kisi Haseena Ke Bikhray Howay Baalon Ki Tarah
Ghabra Jata Hun Jub Bhe Chup Rahon Isi Lye
Mein Bolta Rehta Hun Duniya Waalon Ki Tarah
Apne Hissay Ke Dukh Bunti Rehti Hai Zindagi
Band Kamray Mein Lagay Howay Jaalon Ki Tarah
Wo Mujhe Har Haal Mein Apnaana Chahti Thi
Magar Raddi Mein Biktay Howay Risaalon Ki Tarah
Tanhaayian Chup Chaap Dabooti Raheen Aur Mein
Shor Machata Reh Gaya Nadi Naalon Ki Tarah
Ek Chehra Sadaa Mere Saath Raha.
Kubhi Lamhay Ki Tarah Kubhi Saalon Ki Tarah.!
*

100cute 18.08.12 - 06:44am
Woh mujhse bay sabab uljha nahi tha,
Woh pehle to kabhi aisa nahi tha,
bht aala tha uska zarf lekin,
Woh meri zat ko samjha nahi tha,
woh jitna bay ruki se chal diya tha,
main itna bhi gaya guzra nahi tha,
ussay main kyon bura kahon yaaro,
Woh accha tha faqat mera nahi tha,
*

hamza_g 18.08.12 - 06:44am
Kaha us ne banayen barff ka ik khoobsurat ghar,
Kaha mene december mein hawayen sansanti hain,
Kaha us ne december ki chamakti chandni dekhi,
Kaha mene tere baad mene kuch nahin dekha,
Kaha us ne december mein teri yadain satati hain,
Kaha mene meri jana mohabbat kab bicharti hai,
Kaha usne teri yaadain jalati hain mera aanchal,
Kaha mene december ko chalo phir se bulate hain..
*

100cute 18.08.12 - 06:45am
Main teri chahton ka ahtram karta hon, main teri azmaton ko salam karta hon, Mil jain tujhy jahan ki sab khushian, or gham sary mein apne naam karta hon, Din to kat he jata hai mera dunyak kamon mein, Raat ko teri tasveron se kalam karta hon, Mangta hon mein khuda se teri mohabat, mein to bas in he duaonka ahtamam karta hon, tum se shuru hua meri mohabat ka safar,tum per he apni mohabat ka ikhtetam karta hon. *

100cute 18.08.12 - 06:46am
Daikho gaY humany roz mugar batna ho ge. ik shehar main rh kur bhe mulaqat na ho ge ,jo kehna ha tum ko abi keh do. wrnakul hum hon ga mugar sortay-e- hal na ho ge. jo pochna ha tum ko abi poch lo. wurnakul shaher main be rusmay swalat na ho ge,wo jeet be jainy gay to koe jeet na ho gehum haar kur bhe jainy gay to koe mat na ho ge *

100cute 18.08.12 - 06:47am
Mehak dosti ki ishq se kam nahin hoti,
ishq se zindagi khatam nahin hoti,
sath agar ho zindagi main doston ka,
to zindagi jannat se kam nahi hoti..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:47am
Meray Muskan Ke Chaukhat Per Tum Aa Kar Laut Jaatay Ho
Qadam Laatay Nehi Aagaiy Kaho Ab Kyun Satatay Ho
Tumhari Chaap-e-paa Sunn Kar Hum Othh Kar Baith Jaatay Hain
Batao Neind Sai Hum Ko Tum AisayKyun Jagatay Ho
Abhi Tau Hum Nai Seekha Hai Furqat Main Saber Karna
Humaray Saber Ke Manzil Ko Itna Kyun Hilatay Ho
Tumhain Hum Sai Mohabat Hai Gila Hai Yaa Shikayat Hai
Ye Khud He Faisla Karlo Humain Kyun Aazmatay Ho
Bardi Mushkil Sai Rakha Hai QadamHum Nay Zamanay Main
Meray Mohsin Meri Koshish Ko Mushkil Kyun Banatay Ho
Sada Hum Nay Tumhari Zeest Mai Dhoondi Jaga Apni
Ab Apnay Dil K Derwazay Ko Khula Kyun Dikhatay Ho
Tumhi Nai Taud Dalaiy Thhay SubhiRishtay Mohabat K
Na Mehrum Ban K Jeenay Ka Saleeka Kyun Sikhatay Ho
Shaukat Qaid Karlo Ab Khod Ko Tum Faseelon Main
Bheri Duniya Ko Apna Tum Tamasha Kyun Dikhatay Ho
*

100cute 18.08.12 - 06:48am
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain
Tujhey khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say kaam mukaddar pay taal rakhtay hain
Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaalrakhtay hain
*

hamza_g 18.08.12 - 06:49am
Andharoon Sy Hamain Kaisa Gila Hy
Hamara Chand Jab Hum Sy Khafa Hy
Jo Har Mayoos Lamhy Main Raha Hy
Wohi Is Baar Bhe Hamara Khuda Hy
Kisi Ky Ghar Ky Darwazy Sy Pahly
Hamara Dil Ka Drwaza Khula Hy
Usy Bus Daikhna, Phir Lout Ana
Wo Pathr Sy Tarasha Mootiya Hy
Na Jany Kia Hua Ab Ky Barishoon Main
Maira Ghar Shabnamoon Main Bah Gia Hy
Hamain To Raat Bhr Tu Yaad Aya
Tairi Ankoon Main Kaisa Rut Jagayahy
Bulai Tu Hamain Us Paar Koi
Hamary Pass Bhe Kacha Ghara Hy
*

100cute 18.08.12 - 06:49am
Hijar ki aag main sulgo to bura lgta ha
Tm mre dedar ko tarso to bura lgta hy.
Ak tamana hy faqt muj pe mehrban rho
Tm kisi aur ko dekho to bura lgtahy.
Meri roh tarasti hy teri kushbo ko
Tm kahin aur jo mehko to bura lgta hy.
Arzu hay k tere roop ko har pal dekhon
Tm mere pas say utho to bura lgta ha
*

hamza_g 18.08.12 - 06:49am
Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay
Kitnay Ghum Thay Jo Teray Gham Kay Bahanay Niklay
Fasal E Gul Ayi, Phir Ik Baar, Aseeraan E Wafa
Apnay Hi Hoon Ma Nahanay Niklay
Hijar Ki Chout Ajab Sang E Shikam Hoti Hai
Dil Kay Bafaiz Zameenon Sa Hazanay Niklay
Dil Na Ek Eent Sa Tameer Kia Taajmahal
Tou Na Ek Baat Kahi Laakh Fasanay Niklay
Dasht E Tanhai Hijraan Ma Khara Soochta Hn
Hai Kia Log Meray Lia Nibhaanay Niklay
Main Na Amjad Usay Bay Wasta Dekha Hi Nahe
Wo To Khushboo Bhi Ahat Kay Bahany Niklay

*

100cute 18.08.12 - 06:49am
Lafzoo ki justjo ma sub Kuch ganwa dia,wo chal dia ma tarz-e-ada dhundta rha,us ko kisi na rubse lia mang,or ma sajday ma gir k harf-e-dua dhundta rha *

100cute 18.08.12 - 06:50am
Usney kaha mujh sey kitna pyar hai, mainey kaha
Setaroon ka bhi koi Shumar hai.
Usney kaha kon tumhain sub se azeez hai,
mainey kaha Dil pe jiska Ikhteyar hai.
Usney kaha kon sa tohfa mein tumhein do,
mainey kaha wohi Sham jo Udhar hai.
Usney kaha saath kab tak nebhaogay,
mainey kaha jitnee Sanson ki raftar hai.
Usney kaha mujh ko yaqeen aye kaise,
mainey kaha mera Naam AITBAR hai..
*

hamza_g 18.08.12 - 06:50am
Gham Gusaron Ka Kya Bharosa,
Be-Saharon Ka Kya Bharosa,
Chap Ke Baadal Ki Aot Mein Ro Lein,
Chaand Taron Ka Kya Bharosa,
Jangi Kismat Hizaan Ka Bojh Bane,
In Baharon Ka Bharosa,
Kab Kisi Aur Se Ho Pyar In Ko,
Apne Pyaron Ka Kya Bharosa,
Kal Thi Shamsheer Jin Ke Hathon Mein,
Jaanisaron Ka Kya Bharosa..
*

100cute 18.08.12 - 06:50am
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay. *

hamza_g 18.08.12 - 06:50am
Kuch Is Tarah Se Ibaadat Khafaa Howi Hum Se
Namaaz-e-Ishq Bohat Kam Adaa Howi Hum Se
Ghareeb Aankhon Mein Aansoo BhiAb Nahi Aatay
Ilaahi Reham Ke Phir Kia Khataa Howi Hum Se ?
Hum Ibtadaa Hee Kahan Naikyon KiThay Ya Rab ?
Tou Phir Gunaahon Ki Kiun IntehaaHowi Hum Se
Ye Bad-Naseebi Hamaari Hai Kam Howa Aisay
Ke Dushmanon Ke Bhi Haq Mein Duaa Howi Hum Se
Salook Mout Ka Hum Se Na-Jaanay Kaisa Ho?
Ye Zindagi Tou Bohat Be-Mazaa Howi Hum Se
Kahaan Chhupaayein Ge Mehshar Mein Khud Ko Aazar ?
Kahaan Ataaat-e-Khair-ul-waraa Howi Hum Se ?
*

100cute 18.08.12 - 06:50am
Karni mujhe khuda se kuch fariyad baki hai,hame unse kehni kuch baat baki hai,maut aayegi tokeh denge zara ruk abhi maray dost se ek mulakat baki hai. *

100cute 18.08.12 - 06:51am
Teri barat chali,
meri mayat uthi,
phool tujh pa bhi tha,
phool mujh pa bhi tha,
farq itna tha ka tu saj ka gay,
mai sajaya gaya,tu b ghar ko chali,
mai bhi ghar ko chal,
farq sirf itna tha tu uth ka gai,
mai uthaya gaya,
mahfil wahan b lagai,
log yahan b the,
farak itna tha k un kah hansna,
wahan un ka runa,qazi udar b tha,
molvi idhar b tha,
farak itna tha taira nikkah parhaya gaya mera janaza parhaya gaya,f
arak itna tha tujhe apnaya gya mujhe dafanaya gaya
*

100cute 18.08.12 - 06:51am
Kaho ab kia kahun tmse?
btao kia likhon tmko?
mjy tamheed do koi,mjy umeed dokoi!
naya ik lafz ho koi !jahan se baat chal nikle,
meri mushkil ka hul nikle !Batao lehja kaisa ho?
K tumse baat krni hay,Muje thoraujala do !
baser ik raat krni hay,
tm apni roshan ankho koagr kholotu me likhon,
kaho ab kia irada hay?
mjy izhar krna hay k betabi ziada hay.
*

hamza_g 18.08.12 - 06:51am
Bichar Kay Bhi Mujhe Tum Sa Ya Badgumaani Hai
Ka Meri Yaad Bhi Kabhi Tujhe To Aani Hai
Na Pooch Haal Kisi Bhi Udaas Chahray Ka
Har Aik Shakhs Ki Apni Kahani Hai
Har Aik Shahkhs Ko Apna Bana K Dekh Lia
Milain Gay Ab Na Kisi Sa Ya Dil Ma Thaani Hai
Shajar Udaas Hain Chirioon K Chah-chahay Gum Sum
Kah Teray Baad Ya Tanhaa Si Zindagaani Hai
Na Dosti Hai Sehar Sa Na DushmaniShab Sa
Youn Hi Ya Zindagi Ab To Husan Nibhaani Hai
*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* FunLanD Forum


Search:
topics replies


* FunLanD

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store