Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

FunLanD - Topics
Create Your Own App Store

* FunLanD > Topics


Subject: URDU GHAZALS
Replies: 313 Views: 673
6-<< 2-< 1-> 7->>

100cute 17.08.12 - 02:25pm
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne, *

100cute 17.08.12 - 02:25pm
Baaton baaton mian bicharney kaishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey
Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey
Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitarakarkey
Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey
Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey *

100cute 17.08.12 - 02:26pm
Wafa ruswa nahi karna...
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hu
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye to
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Barosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar to muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje adha ni karna
suno asa soocha nahi kerna. *

100cute 17.08.12 - 02:26pm
Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota *

100cute 17.08.12 - 02:28pm
Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega *

100cute 17.08.12 - 02:29pm
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai
yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa
har aik cheez hai apni jagha thikane pe
kaii dino se shikayat nahi zamane se
Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere bagair jahaan main koi kami si thi
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main
main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere jamaal se roshan hai kainaatmeri
meri talash teri dilkashi rahe baki
khuda kare k yeh deewngi rahe baki
teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, terimehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil ha *

100cute 17.08.12 - 02:29pm
Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir...?
Bichhar kar sochta hoon main,
Wo phir se mil gaya to phir...?
Main titliyon k shehar mein,
Rahoon to mujh ko fiker hai...
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to phir...?
Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila...
Tamam umer k liye,
Ye dard mil gaya to phir...?
Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar sake...
Agar mere sawal ka,
Jawab mil gaya to phir...? *

100cute 17.08.12 - 02:30pm
Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain...
Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain...
Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain...
I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain...
Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain... *

100cute 17.08.12 - 02:30pm
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
is jheel kinaray pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phol baha dain lehroon main
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phol k behtay rangoon main
jis waqt larazta chand chalay
us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
phir chahay omer samander ki
her maoj parayshan ho jaye
phir chahay aankh darechay say
her khawab gurayzaan ho jaye
phir chahay phool k chehray ka
her dard nomayan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho
din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho *

100cute 17.08.12 - 02:30pm
Koi titli hamarey paas aati bhi, to kia aati,
Yun ghut-ghut k mar jana, hamain manzoor tha laikin,
Kisi kam-zarf per zahir na ki majbooriyan hum nay,
Hum is mehmil main bus ek baar sach bolay thay,
Zabaan per umer bhar mehsoos kichingariyon ham nay,
Samajhtay thay magar phir bhi narakhi dooriyan humne,
Chiraghoon ko jalanay main jala ' liungliyan hum nay... *

100cute 17.08.12 - 02:31pm
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujhmain b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhekuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha. *

100cute 17.08.12 - 02:31pm
Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,
Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,
Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,
Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.
Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum. *

100cute 17.08.12 - 02:31pm
Yahan chahton ka sila nahi,
yahan dosti ka maza nahi,
yahan janay kesi hawa chali,
Rahi dostoon main wafa nahi,
yahan jal gaya mera aashiana,
Abhi badlon ko pata nahi,
Teray dar pe dastak de sakon,
ye haq to tum ne dia nahi,
Main raahi hon raah-e-umeed ka,
Mujhay manzilon ka pata nahi,
Be bas hon jahan main isqader,
jaisay mera koi KHUDA nahi,
MERI SAADGI MERA JURM HAi,
KOI AUR MERI KHATA NAHI. *

100cute 17.08.12 - 02:36pm
Yaadai'n jaag jati hyn
Barisho'n k mausam main
Har ghari satati hyn
Barisho'n k mausam main
Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat'ti
Subhai'n bhi satati hyn
Barisho'n k mausam main
Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey
Aankhai'n bheeg jati hyn
Baarisho'n k mausam main *

100cute 17.08.12 - 02:37pm
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye
Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye
Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye *

100cute 17.08.12 - 02:37pm
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri YaadMein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi
Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi
Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi
Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi
Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi *

100cute 17.08.12 - 02:37pm
Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai
Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai
Ab To Mehfil Main Bhi Humare LiyeTanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai
Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai
Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi MuskaranaKesa Lagta Hai
Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai
Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai
Kahayei Hai Dhoke Mohabaat MainItne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai
Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai
Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai *

100cute 17.08.12 - 02:37pm
Aye mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
is chaman mein ab apna guzara nahin.
baat hoti gulon tak to sehlete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.
jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan katee,
phir bhi kehte hain humse ye ahlechaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.
aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,
umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin *

100cute 17.08.12 - 02:38pm
Kaha tha tum say...mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussik khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat kaizhaar na karna *

100cute 17.08.12 - 02:38pm
Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena *

100cute 17.08.12 - 02:38pm
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen
beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen
roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen
tum to shaayar ho 'Qateel' aur voik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen *

100cute 17.08.12 - 02:39pm
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra...
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra...
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela...
Meri khatir sanwerta hai tumharachand sa chehra...
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain...
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra...
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta...
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra...
Meri basti se shayad iss liyay tumdoor rehte ho...
Gehan lagne se darta hai tumharachand sa chehra...
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per...
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai...
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra...
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna...
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra... *

100cute 17.08.12 - 02:39pm
Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey
Mein Ek Mataa-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey
Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey
Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey
Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey
Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey
Maadoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein MereyCharah-Gar Mujhey
Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey *

100cute 17.08.12 - 02:39pm
Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana'nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat nathi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say...!!! *

100cute 17.08.12 - 02:39pm
Ho raat akeli pichlay paiher or
Chand gagan main aa jaye,
Tum chand ki manend tanha ho ye baat tumhay tarpa jaye.
Kuch khuwab saja kr palkoun pay
Tum chand say batein kr laina,
Hum yaad tumhay to kartay hain
tumYaad humain bhi ker laina.
Kuch bat na ho jb aisay he
num ankh Tumhari ho jaye,
Tum bat kahi per karty ho,
dil or Kahi per kho jaye.
Jazbat k aisay alam main
Muskan laboun par bhar laina,
Hum yaad tumhe to krtay hain,
Tum yaad humain bhi kr lena.. *

100cute 17.08.12 - 02:40pm
Labon pe phool khiltay hain kisi kenaam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-eshaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle *

100cute 17.08.12 - 02:40pm
Shaam k saaye, jo sooraj ko chupanay niklay,
Hum di'iye lay kay, andhairon ko mitanay niklay,
Aur to koi na tha, jo jurm-e-baghawat karta,
aik hum hi thay, jo yeh rasm nibhanay niklay,
Shehar mein, dasht mein, Sehra mein bhi tujh ko paaya,
Aay gham-e-yaar, teray kitnay thikanay niklay *

100cute 17.08.12 - 02:40pm
Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko,
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..! *

100cute 17.08.12 - 02:40pm
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein sannata bohut Hai,
Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,
Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.! *

100cute 17.08.12 - 02:41pm
Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen
Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen
Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai
Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen
Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain
Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen. *

100cute 17.08.12 - 02:41pm
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri YaadMein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi
Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi
Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi
Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi
Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi *

100cute 17.08.12 - 02:42pm
Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie
Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie
Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain
Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain
Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi
Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti
Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren
Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen *

100cute 17.08.12 - 03:12pm
usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,
Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naamhai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, joguzar gia woh guzar gia,
Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,
Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,
Mujhey pat jharon ki kahanian nasuna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,
Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia *

100cute 17.08.12 - 03:12pm
Kahun K Kia Ho Tum....?
Mere liye meri Duniya ho Tum,
Cho k jo Guzre wo Hawa ho Tum,
Maine jo Mangi wo Dua ho Tum,
Kya maine Mehsos wo Ehsas ho Tum,
Meri Nazar ki Talash ho Tum,
Meri Zindagi ka Qarar ho Tum,
Maine jo Chaha wo Pyar ho Tum,
Mere Intizar ki Rahat ho Tum,
Mere Dil ki Chahat ho Tum,
Tum ho tu Duniya hai Meri,
Kaise Kahun k Sirf Pyar Nahin,
Meri JAAN ho Tum. *

100cute 17.08.12 - 03:13pm
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin
har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin
wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin
ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin
hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin *

100cute 17.08.12 - 03:15pm
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay.....
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay...
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko.....
Barastay Huway Baadil Kabhi UjalaNahi Kartay.....
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe BasYounhi Rehnay Dou...
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay......
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa...
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay *

100cute 17.08.12 - 03:18pm
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay,
Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin,
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay,
Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay *

100cute 17.08.12 - 03:21pm
Meray Allah larai se bachana mujhko,
Aur sikha day koi banduk chalana mujhko!
Khair se laut k ayain meray abbu ghar main
Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main !
Raat din jaam traffic na rahay sarkon per
Koi nala na gatar bhar kar bahaysarkon per!
Qalma gawaion ko musalman banaday yarab
Naik aur saheb-e-iman banaday yarab !
Naam-e-Islam ki hurmat ko bachalay yarab
Waqt kai sarazy yazidon ko uthalay yarab
Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri *

100cute 17.08.12 - 03:21pm
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baatnahi
Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi *

100cute 17.08.12 - 03:21pm
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamarakyon nahin ata
yahan anay ko to har din kissi kesaath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukarakyon nahin ata
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata
bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata
bhatakta phir raha hoon din ke isweran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata *

100cute 17.08.12 - 03:23pm
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab e na ho shamil wo bandagi kya hai !
Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan e na sh*gufta wo bat hi kya hai !
Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !
Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !
Mauj masti ko honge dost hajaronlekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !
Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hastikya hai !
Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai Saqi wo basti kya hai ! *

100cute 17.08.12 - 03:23pm
Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri!
Main jo daftar k liye ghar se nikalker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon!
Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!
Jo urdaday mujhay khudkash to doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !
Biwi bachon ko meri jan ki qeematmil jai,
bethay bethay meray ghar walonko daulat mil jaye!
Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !
Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !
In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!
Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai
Jan aur maal ho mefoz police walon sai!
Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay ! *

100cute 17.08.12 - 03:24pm
Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !
Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !
Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !
Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !
Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !
Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange !! *

100cute 17.08.12 - 03:24pm
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole haiZakhmi,
Yah uski bezubaani ka sila hai !! *

100cute 17.08.12 - 03:25pm
Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !
Jaaney kab usko faqiron pe tarasaajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !
Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunarjanta hai !
Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise Saqi,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !
Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !! *

100cute 17.08.12 - 03:25pm
Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !
Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !
Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !
Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !
Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !
Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai!
Khud ko Jo samjhe ki ham kamzorhain,
WO bahut nadan hai anjan hai !! *

100cute 17.08.12 - 03:25pm
Kuchh adhuri khwahishon ka silsilahai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhizindagi !
Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !
Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !
Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi ! *

100cute 17.08.12 - 03:26pm
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain
Jaisay mujrim hay bina jurm karaykoi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,
Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtayhain,
Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain,
Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain... *

100cute 17.08.12 - 03:26pm
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote
Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote
Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote
Jab khushee hai naachtee gaateehai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote
Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote
Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote *

100cute 17.08.12 - 03:26pm
Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak.
Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.
Khataon par khata'ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko.
Main tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye.
Na himmat tujh main ho baqi.
Na himmat mujh main ho baqi.
Magar itna qareeb aaoun.
K meri saans ruk Jaye.
Tere honton pe jab rakhoon.
Main apny hont kuch aise.
Ya teri pyaas bujh jaye.
YA MERI SAANS RUK JAYe *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* FunLanD Forum


Search:
topics replies


* FunLanD

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store