Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

FunLanD - Topics
Create Your Own App Store

* FunLanD > Topics


Subject: @2 Lines poetry@
Replies: 500 Views: 825
1-> 7->>

anam_16 1.01.12 - 05:25am
welcome.GIF i am going to share 2 lines poetry wid u! Hope u like! happy.GIF *

anam_16 1.01.12 - 05:30am
Akela hun magr kr laita hun abaad weeraney bohat roye gi mairey baad sham e tanhai *

anam_16 1.01.12 - 05:33am
Ehsaas na kr in jazboon ka,Nazroon say gira Be-shak lekin - jeena bhi mujhey dushwar lagey,itna b tou nazar-andaz na kr *

anam_16 1.01.12 - 05:35am
Aye zindagi khatam kr ab ye yadoo kay silsaley ~+~ main thak sa gaya hun dil ko tasaliyan deta deta *

anam_16 1.01.12 - 05:36am
sub kuch jantey hue,dil manta na tha ~+~ janey main aetbar kay kis marhaley main tha *

anam_16 1.01.12 - 05:40am
Shajar tb he lagana jb zameeno ko parkh lena ~+~ har ik matti ki fitrat main wafadari nhi hoti *

anam_16 1.01.12 - 05:43am
Ab ye alam hai k tanhai say ham tang aa kr ~+~ khud he darwazey ki zanjeer hila daitey hain *

anam_16 1.01.12 - 05:48am
Dosto! wo din gay, ab ye hamakat kon krta hai?? ~+~ wo kaya kehtey hain us ko? haan,mohabat kon krta hai! *

anam_16 1.01.12 - 05:50am
ye b acha hai k srf sunta. . . . ~+~ dil agr bolta to qayamat hoti! *

anam_16 1.01.12 - 05:51am
kaisi chali hai ab k hawa terey sheher main. . . .
bandey b ho gay hain khuda tery shehr main *

anam_16 1.01.12 - 05:53am
phir palat rhi hain sardion ki suhani ratain
phir us ki yaad main jalney kay zamaney aye *

anam_16 1.01.12 - 05:56am
ishq ujrat talab na tha verna

hum terey dar pay nokri krtey[/br] *

anam_16 1.01.12 - 05:58am
tamasha roz krtey ho wafaoon ka jafaoon ka

zara thehr'o hamarey dil main muhabat seekh jao gay *

anam_16 1.01.12 - 06:01am
bohat mehdood sa halqa' ehbab hai mera!

faqat tanhayian , ruwayian, nadanyian or main. . . . *

anam_16 1.01.12 - 06:04am
mohabat bandagi hai. . .Is main tan ka qurb mat maango. . .

k jis ko choo lia jaye . . .Usey pooja nhi krtey *

anam_16 1.01.12 - 06:07am
log ajab hain . . .Un ki jafa k qissey b dohratey hain[b]

[b]dil ka sukoon b dhondtey hain wo,jazboon ki tash-heeron me...
*

anam_16 1.01.12 - 06:09am
qurbat k saye main hy muhabat chupi hui

tu kitna dil kay paas hy door ja k daikh *

anam_16 1.01.12 - 06:13am
Anaa parast to ham b ghazab kay hain lekin

terey gharoor ka bs ehtraam krtey hain *

anam_16 1.01.12 - 06:16am
mere din raat mushkil main,, sukoon ik pal nhi mujh ko

muhabat tars kha mujh par MUHABAT chod ja mujh ko *

anam_16 1.01.12 - 06:18am
ye tumsey keh dia kis nay, k baazi har baithey hum,

Muhabat main lutaney ko to abi jaan baqi hai *

anam_16 1.01.12 - 06:19am
Muhabtoun main khataien to ho he jati hain. . . .

muhabat ka taqaza hai dr'guzar krna *

anam_16 1.01.12 - 06:24am
hamesha aisa hota tha. . .Nighaoon say parey ho kr hmarey dil main rehtey thay....
magar ab kay hua hai yun nigahoon say pare ho tm....Hamara dil b khali hai *

anam_16 1.01.12 - 06:25am
hawa k sath badlta hai un ka husn e salook

haseen log b hotey hain mousmaoun ki tarha *

anam_16 1.01.12 - 06:27am
arzo kr na saki tarq e taluq ko qabool....

tm say bichrey to tmhari yaadon k ho baithey! *

anam_16 1.01.12 - 06:29am
Mita de apni hasti ko agr martaba chaheiy

k daana b khak main mil kr gul-e-gulzar hota hai *

anam_16 1.01.12 - 06:38am
deewana tmhara hun....Koi gair nhi hun

machla hun to seeney say lga kyon nhi laite *

anam_16 1.01.12 - 06:40am
diloon ka khel jo khelo to ye bhool mat jana...

k khel khel main aksar khiloney toot jatey hain *

anam_16 1.01.12 - 06:45am
ek ajnabi jhonkey jb pocha maire gham ka sbab...

sehra ki bheegi rait pay mainey likha AWARGI!! *

anam_16 1.01.12 - 06:46am
gul say lipti hui titli ko gira kr daikho

andhi tumney darkhtoun ko giraya ho ga *

anam_16 1.01.12 - 06:47am
wo jhot bol rha tha barey saleeqey say

main aitbaar na krta to aur kaya krta?? *

anam_16 1.01.12 - 06:49am
zehen kay tareek goshoun say uthi koi sadaa....

mainey pocha kon hah?Us nay kahan koi nhi.... *

anam_16 1.01.12 - 06:53am
mujhey smjha na aye mohsin k tou ho chuki ab mujh ko....

muhabat mashwra hoti to tujh say pooch kr krta *

anam_16 1.01.12 - 06:55am
barabat kay taar chero naghme ki laye barhao

apni kahanion main......Unki b baat hogi *

anam_16 1.01.12 - 06:57am
main aj zadd pe agr hun, to khush gumaan hun

charagh sb k bujhein gai....Hawa kisi ki nahi

*

anam_16 1.01.12 - 07:00am
isi uljhan main us nay apne rukh pay daal di zulfain....

kisi soorat ko eitbaar e shaam ajaye! *

anam_16 1.01.12 - 07:02am
Koi ishara,na dilasa na wada magar
jab aai shaam tera intizar karne lage! *

anam_16 1.01.12 - 07:03am
Koi jannat ka taalib hai, koi ghum se preshan hai...
Gharz sajda karwati hai, ibadat kon karta hai.....!! *

anam_16 1.01.12 - 07:04am
Din ko aaram hai na raat kohai chain kabhi..........
Jane kis khaak se qudrat nebanaya mujh ko!!! *

anam_16 1.01.12 - 07:05am
main tumhain apna aap sonpta hun,
Mujh ko rakh kr kahin bhoolna jana. *

anam_16 1.01.12 - 07:05am
Phir palat rahi hain sardion ki suhaani ratain,
Phir uski yaad mein jalnay k zamany aye... *

anam_16 1.01.12 - 07:08am
kafir sahi hazar, magar isko kya kahen
ham par wo mehrba'n hai musalmaan ki tarah...!!! *

anam_16 1.01.12 - 07:09am
mana ke rehguzar me hain...patthar nahi hain ham
ham se bhi baat kijiye..........insaan ki tarah....!!! *

anam_16 1.01.12 - 07:09am
ik door se aati hai... paas aa ke palat ti hai....
ik raah akeli si..... rukti hai na chalti hai....!!!! *

anam_16 1.01.12 - 07:10am
aik sirf hashr per mauqoof nahi hai insaaf....
zindagi khud bhi gunahon ki saza daiti hai....... *

anam_16 1.01.12 - 07:10am
woh mile bhi to fakat khuda k darbar mein Ghalib,,,,,,
ab tum he btao ibaadt krty ya mohabbat....? *

anam_16 1.01.12 - 07:11am
Kaash Tum Samjh Jao Meri Mohabbat ki Inteha KO Mohsin
Hairaan Reh Jaogaye Tum Apni Khush-Kismati Par *

anam_16 1.01.12 - 07:13am
Is Zidd Pe Tera zulam Gawara Kiya humne
Dekhien Ke tujhe Reham KahaaN Tak Nahi Aata *

anam_16 1.01.12 - 07:16am
Musarat Ki Tamanna Hai To Gham Ki Intehaa Kar Day
Sitaray Doob Kar Kartay Hain, Anwaar E Sehar Paida! *

anam_16 1.01.12 - 07:19am
Palat k aany lagy shaam k parindy bhi
Hamara subh ka bhoola , mager nahi aaya..... *

anam_16 1.01.12 - 07:23am
Wo samny ay tou ajab saneyha hua, mohsin.....
Har ik harf-e-shikayat ny khudkushi karli !!! *

anam_16 1.01.12 - 07:26am
Tumhara naam kisi ajnbi k lub pr tha,
Zra c baat the dil ko mgr lge hy boht.............. *

1-> 7->>


This topic is locked.
* FunLanD Forum


Search:
topics replies


* FunLanD

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store